Rakesh Satapathy

I am a Writer

  • GOAL SETTING KYA HAI AUR YE KYU JARURI HAI - HINDI ME

    Generally, do tarah ke log hote hai is duniya me pehle jo apni zindagi ko apne wish ke according jeena chahta hai aur dusra khud ki life me koi changes nahi chahta hai.  Thousands of survey ne ye proof kiya hai agar aap apne life me Goal setting ( Lakshya Nirdharan ) karenge to jyada chances hogi apke kaamyabi ki jabki apko bhi pata hai guzra hua waqt kabhi laut kar nahi aata .


    Aaj mai is post me Goal setting par discuss karne ja raha hoon jisme aap janenge Goal setting kya hai , ye kyu jaruri hai aur iske kya -kya faayde hai . Agar aap apne life ko apne hisaab se jeena chahte ho aur interest rakhte ho goal setting par to is post ko fully read kare.



    Goal setting kya hai

    Goal setting ka matlab hota hai apne life me kisi chiz ko paane ke liye specific wish ko target karna . Isme har wo chiz shaamil hoti hai jise aap chahte ho ki wo apke life me ho. Lekin iski puri aur sahi jankari sabhi ko nahi hoti . But do not worry mai is post me goal setting ki puri jankari share karne ja raha hoon .



    Agar aap apne life ko apne wish ke according jeena chahte ho to aapko goal setting karni jaruri hai .  Agar aap student ho to goal set kar sakte ho ki aapko exam me better perform karke college topper banna hai. Similarly , har kisi field me apne wish ko set kar sakte ho.  But iske set karne ki bhi kuch rules hote hai jinhe aapko follow karna hota hai , puri jankari aapko milegi bas aapko ye post puri read karni hai.

    Goal setting kyu jaruri hai

    Goal setting bahut hi jaruri hai hamare better life ke liye agar aapka koi lakshya nahi hai iska matlab aap apni precious life ko waste kar rahe ho.  Aisa  bhi kya jeena jisme aap apne wish ke according jee bhi nahi sakte aur sapne ko pura na karna sirf dekh kar hi reh jaana .


    Friends ye proof ho chuki hai bahut sare surveys se ki jisne bhi apni zindagi me lakshya nirdharan kiya hai uske chances jyada rahi hai kaamyaab hone me. Jab aap koi lakshya set karte ho tab apko ek energy milti hai use pura karne ke liye jise burning desire kehte hai aur will power bhi strong hota hai.


    Sabse important baat ye hai aapko daily bahut sare useful ideas bhi aayegi jise follow kar ke aap apne lakshya aur sapne ko pura kar sakte ho. lekin Goal Set karne ke bhi kuch terms and condition hoti hai , aapka lakshya achievable hona chahiye.



    I hope apko meri is post se kuch na kuch jarur sikhne ko mila hoga , agar apko is article se judi koi sawal karna hai to aap simply comment ke through puch sakte ho . Hamari puri kosish rahegi apke sawal ke jawab ko 24 hour ke andar dene ki . Ek meri bhi apse request hai is post ko jitna ho sake apne friends tak share kare ...Thank you very much to read this one.

    GET A FREE QUOTE NOW

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetuer adipiscing elit, sed diam nonummy nibh euismod tincidunt ut laoreet dolore magna aliquam erat volutpat.

    GOAL SETTING KYA HAI AUR YE KYU JARURI HAI - HINDI ME

    Generally, do tarah ke log hote hai is duniya me pehle jo apni zindagi ko apne wish ke according jeena chahta hai aur dusra kh...

    ADDRESS

    Kamapalli, Main Road.
    Berhampur-760004

    EMAIL

    admin@rakeshsatapathy.com
    rakii6595@gmail.com

    TELEPHONE

    +91-7064656595

    MOBILE

    +91-7873073007